12 Jun 2012

tu kya hai...



Tu kya haiN, kya nahi yeh kaun jane

dur baithi cheezoN ko kauN pehchane

jo barso sath rahate haiN ban k apne

wo bhi pal meiN ho jate haiN anjane

Yaha loog kanO suni baat sach mane
Apni akal lagana yaha koi bi naa jane
Sab ek dusarooN par lanchan lagayee
Aur jaante haiN sirf sach ko dabane

zakhm sabi aate mehfiL meiN dikhlane
dard yaha har koi naa jane chhipaane
bayaN kia gam gaya,dabaya to dard bada
aur fir ek diN haiN wo nasoor banjane
kyu aaj fir tadap kadam chal uthe haiN
k fir kyu nikal pada huN jane maykhane
lagi haiN jo ek aag barso se is diL meiN
fir nikali huN maiN use may se bujhane
yaa parwardigar yeh kya ho raha haiN
kyu log lage huye haiN shole bhadkaNe
charo taraf faili yeh kaisi uljhaN haiN
ki jisko koii naa jaane haiN suljhaNe
har koi pane ki soche na koi khona jane
lad pad ek duze se,ab lage haiN marne
ya khuda ye kaisi basti basai haiN tune
teri kya raza haiN yeh to tu hii jane
maiN janu ye zindagi ek chhalawa haiN
yha kaun kisko jaNe,kaun kisko pehchane
yha kauN apNa kauN praya sirf khuda jane
 hum to sirf, aur sirf itana jane………
“ Zindagi par likhe ja chukke haiN kai afsane
kabi dard to khushi meiN likhe jate haiN gane
par har sach meiN sabse bada sach haiN yeh
yha log aate hi haiN mar miiti meiN mil jane”

No comments:

Post a Comment