11 Mar 2012

aisa kbi na krna...




Tum ruth jao mujhse, 
aisa kabhi na karna,
mein ek nazar ko tarsoon,
aisa kabhi na karna,
mein pooch pooch haroon,
so so sawal kar k,
tum kuch jawab na do,
aisa kabhi na karna,mujhse hi mil k hasna,
mujhse hi mil kar rona,
mujhse bicher k jee lo
aisa kabhi na karna,
tum chand ban k rehna,
mein dekhta rahonga,
kisi roz tum na niklo,
aisa kabhi na karna,
tum chalay jao jab bhi,
tu dekhoon tumhara rasta,
tum lot k na aaao,
aisa kabhi na karna.


aisa kabhi na karna.....

No comments:

Post a Comment