8 Dec 2011

Ye na jana tha









Zamana pyaar ka itna kam hai,, 
Yeh na jana tha..
Hamara sath bas do hi kadam hai,,
Yeh na jana tha....

Khushi aagaaz thi,
 meri mohabbat K fasane ka... 
Wafa ne khwaab dekha tha,,
Nayi duniya basane ka.... 
Magar is khwaab ki manzil gham hai,,
Yeh na jana tha.............

Badi rangeen baharon main,, 
Jale Gya ashiyaan mera.. 
Lute Gya is tarah manzil pe aa kr,, 
Kaarwan mera.... 
Mujhe teri mohabbat ki kasam hai,, 
Yeh na jana tha...........

No comments:

Post a Comment